Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Kisne Mujhko Sada Di

Kisne Mujhko Sada Di Bata Kaun Hai
Ae Hawa Tere Ghar Mein Chipa Kaun Hai
Barishon Mein Kisi Ped Ko Dekhna
Shaal Odhe Hue Bheegta Kaun Hai
Khushbuon Mein Nahayi Hui Shakh Per
Phool-Sa Muskurata Hua Kaun Hai
Main Yahan Dhoop Mein Tap Raha Hoon Magar
Voh Paseene Mein Dooba Hua Kaun Hai
Dil Ko Pathar Hue Ik Zamana Hua
Is Makaan Mein Magar Bolta Kaun Hai
Aasmano Ko Humne Bataya Nahi
Doobti Sham Mein Doobta Kaun Hai
Tum Bhi Majboor Ho, Hum Bhi Majboor Hain
Bewafa Kaun Hai, Baawafa Kaun Hai
- Bashir Badr

Post a Comment

0 Comments